sham-e-dilkash ka rangin saman hai aise mein kya khabar tu kahan hai apne dil ko jawan-sal rakkho dil jawan hai to sab kuchh jawan hai jam chhalka diya kya shafaq ne charkh par mai-kade ka guman hai kab se khoti hui us ki manzil kaun se mod par karwan hai jazba-e-dosti ko sada do dost se dost phir bad-guman hai mit gain jabki aqdar-e-insan kaun insan ka pasban hai ho gaya kya bahaaron ko yaro har taraf ab khizan hi khizan hai chhin na jae mataa-e-mohabbat phir siyasat ka fitna jawan hai apni rudad-e-ulfat kahen kya jo haqiqat thi ab dastan hai jo ghazal hi ka hai sirf hissa nazm mein wo balaghat kahan hai shaeri to bahar-haal yaro zat-o-mahaul ki tarjuman hai kaamyab is mein hote hain kam hi zindagi ek kada imtihan hai kya chaman hai ye 'maghmum' jis mein aatish-e-gul ke badle dhuan hai