aaKHirash kaun hua nala-kunan aaKHir-e-shab

aakhirash kaun hua nala-kunan aakhir-e-shab
chikh utha dard se har pir-o-jawan aakhir-e-shab

phir saji bazm chhalakne lage mina-o-ayagh
dafatan jag utha dard-e-nihan aakhir-e-shab

sham hi se jo andheron se rahi garm-e-sitez
bujh gai shama wahi de ke dhuan aakhir-e-shab

aasman kanp utha aur zamin tharrai
qissa-e-gham jo kiya hum ne bayan aakhir-e-shab

pahlu-e-dard se ek aah-e-sharar-bar uthi
chashm-e-khunab hui shoala-fishan aakhir-e-shab

band darwaze pe di baad-e-saba ne dastak
tere aane ka hua dil ko guman aakhir-e-shab

kulfat-e-hijr ka qissa bada tulani tha
hum sunate bhi to sunta wo kahan aakhir-e-shab

mere ham-dam mere dam-saz meri jaan-e-hayat
yun mujhe chhod ke jate ho kahan aakhir-e-shab

jalwa-gar kaun hua mere shabistan mein 'niyaz'
jhum utha wajd mein har kaun-o-makan aakhir-e-shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close