aakhirash mar hi gaya yakh-bastagi sahta hua wo jo zinda pal meri mutthi mein tha jakda hua ab kisi ko dekhna un ko gawara hi nahin dekh kar tujh ko zamane bhar se dil andha hua har-bun-e-mu gosh-bar-awaz hai us ke liye wo magar khamosh meri har sada sunta hua par salamat hain magar phir bhi wo ud sakta nahin ek parinda canwas par kab se hai baitha hua waqt ke sare sitam hum ne sahe mil kar to phir chand mere sath aakhir kyun nahin budha hua jaan kar apna hi ghar ab dard rahta hai yahan dil ko khali us ki khatir to na tha rakkha hua yun musallat zindagi kar di gai aasab par bojh ye dhone mein shal ehsas ka kandha hua ho gae tahlil sab manzar chhua jab aaina khul gaya ye bhed aks-e-khwab tha phaila hua