pyar ke khatte-mithe name wo likhti hai main padhta hun har shab ko jaane-anjaane wo likhti hai main padhta hun aaj bhi furqat ke lamhon mein mere nam ke harf-e-adawat tedhe-medhe tirchhe aade wo likhti hai main padhta hun main nazuk ehsas likhun to bojh tale wo dab jati hai lafz jawaban patthar bandhe wo likhti hai main padhta hun roz baqa-e-baham ki tajwiz pe hum ghul-mil jate hain baith ke aksar maut kinare wo likhti hai main padhta hun meri thandi aah pe wo har tarah samaat rok chuki hai lekin apne man ki baaten wo likhti hai main padhta hun jab us ki tausif likhun to khushbu se khushbu likhta hun badle mein na-zeba tane wo likhti hai main padhta hun