aaKHiri ab KHatm hone ko hai bab-e-zindagi

aakhiri ab khatm hone ko hai bab-e-zindagi
lo mukammal ho gai 'zebi' kitab-e-zindagi

likh rahi hun nam tere intisab-e-zindagi
sirf tu hai sirf tu hai intikhab-e-zindagi

rahaton ke aur ghamon ke sare mausam tujh se hain
tu jamal-e-fikr-o-fan tu aaftab-e-zindagi

apne apne har amal ka goshwara sath hai
ab tumhaare ru-ba-ru hoga hisab-e-zindagi

apni apni uljhanon mein ab hain sab uljhe hue
ab nahin baqi kahin aankhon mein tab-e-zindagi

hai amal hi se mayassar rahat-e-qalb-o-jigar
ba-amal hai jo wahi hai kaamyab-e-zindagi

ab na ikhlas-o-murawwat hai na logon mein wafa
kasrat-e-zar ne badal dala nisab-e-zindagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close