aakhiri marka ab shahr-e-dhuan-dhaar mein hai mere sirhane ka patthar isi diwar mein hai ab hamein pichhle hawala nahin dena padte ek yahi faeda bigde hue kirdar mein hai beshtar log jise umr-e-rawan kahte hain wo to ek sham hai aur kucha-e-dildar mein hai ye bhi mumkin hai ki lahja hi salamat na rahe majlis-e-shahar bhi ab shahar ke bazar mein hai dil kahan apni riyasat se alag jata hai wo to ab bhi usi ujde hue darbar mein hai