aah bharta hun to bharne bhi nahin deta hai aur wo khamoshi se marne bhi nahin deta hai nakhuda kashti ko sahil se lagata bhi nahin beach dariya mein utarne bhi nahin deta hai dusra zakhm laga deta hai dil par mere pahle ko thik se bharne bhi nahin deta hai mere aansuon se wo sang pighalta bhi nahin sar patak kar mujhe marne bhi nahin deta hai baz aata bhi nahin zarb lagane se wo tut kar mujh ko bikharne bhi nahin deta hai mere sapnon ko wo sach bhi nahin hone deta magar ummid ko marne bhi nahin deta hai aaine ko mere chehre se shikayat hai bahut aaina mujh ko sanwarne bhi nahin deta hai us ki mahfil mein pahunchne ki tamanna mat kar wo to kuche se guzarne bhi nahin deta hai