aaKHiri war kar raha hun main

aakhiri war kar raha hun main
apna inkar kar raha hun mein

aad apne hi jism ki le kar
ruh ko tar kar raha hun main

apne dukh bant kar zamane mein
kitna isar kar raha hun main

hai mohabbat bhi kar-e-fan ki jise
dil se har bar kar raha hun main

kis mahaarat se is darame mein
apna kirdar kar raha hun main

tir khane se us ke is fan mein
us ko fankar kar raha hun main

kuchh to bimar hai wo pahle se
aur bimar kar raha hun main

dost ahbab kyon khajil hain aaj
zikr-e-aghyar kar raha hun main

main agar ja chuka to phir kis se
ab bhi takrar kar raha hun main

apni nakaami ki dua kar ke
marzi shab kar raha hun main

khud hi tamir kar ke but apna
khud hi mismar kar raha hun main

ek na ek shai har umr mein ab bhi
be-sarokar kar raha hun main

koi to mujh se haar kar jite
sab se hi haar kar raha hun main

jaane kis ahd ke liye 'rashid'
us ko tayyar kar raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close