purkhon ki bu bas liye phirta hun mutthi bhar ehsas liye phirta hun chaaron or samundar aur main pal pal ek anjaani pyas liye phirta hun ram ko to ban-bas liye phirta tha main khud mein ban-bas liye phirta hun mahfil mahfil khema-zan mayusi manzil manzil aas liye phirta hun har mausam ka karb chhupa hai mujh mein main har rut ki pyas liye phirta hun