aalam-e-ab-o-khak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main wo jo nazar se hai nihan us ka jahan hai tu ki main wo shab-e-dard-o-soz-o-gham kahte hain zindagi jise us ki sahar hai tu ki main us ki azan hai tu ki main kis ki numud ke liye sham o sahar hain garm-e-sair shana-e-rozgar par bar-e-giran hai tu ki main tu kaf-e-khak o be-basar main kaf-e-khak o khud-nigar kisht-e-wajud ke liye aab-e-rawan hai tu ki main