chandni-raat mein andhera tha is tarah bebasi ne ghera tha mere ghar mein basi thi tariki ghar se bahar magar sawera tha wo kisi aur ka hua hai aaj wo jo kal tak to sirf mera tha ud gae aas ke sabhi panchhi jin ka dil mein mere basera tha bas wahin 'josh' ka mazar hai aaj kal jahan bewafa ka dera tha