aalam-e-rozgar ko aasan bana diya jo gham hua use gham-e-jaanan bana diya main kaamyab-e-did bhi mahrum-e-did bhi jalwon ke izhdiham ne hairan bana diya yun muskurae jaan si kaliyon mein pad gai yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya kuchh shorishon ki nazr hua khun-e-ashiqan kuchh jam ke rah gaya use hirman bana diya ai shaikh wo basit haqiqat hai kufr ki kuchh qaid-e-rasm ne jise iman bana diya kuchh aag di hawas mein to tamir-e-ishq ki jab khak kar diya use irfan bana diya kya kya quyud dahr mein hain ahl-e-hosh ke aisi faza-e-saf ko zindan bana diya ek barq thi zamir mein fitrat ke maujzan aaj us ko husn o ishq ka saman bana diya majburi-e-hayat mein raaz-e-hayat hai zindan ko main ne rauzan-e-zindan bana diya wo shorishen nizam-e-jahan jin ke dam se hai jab mukhtasar kiya unhen insan bana diya hum us nigah-e-naz ko samjhe the neshtar tum ne to muskura ke rag-e-jaan bana diya bulbul ba-ah-o-nala wa gul mast-e-rang-o-bu mujh ko shahid-e-rasm-e-gulistan bana diya kahte hain ek fareb-e-musalsal hai zindagi us ko bhi waqf-e-hasrat-o-hirman bana diya aalam se be-khabar bhi hun aalam mein bhi hun main saqi ne is maqam ko aasan bana diya us husn-e-karobar ko maston se puchhiye jis ko fareb-e-hosh ne isyan bana diya