baat be-baat ulajhte ho bhala baat hai kya mere andar ki balaon se mulaqat hai kya hum to us pasti-e-ehsas pe jite hain jahan ye bhi malum nahin jit hai kya mat hai kya dhund mein dub gaya dil ka muhaddab adsa kaun batlae sar-e-arz-o-samawat hai kya dard ka ghaar-e-hira dil mein kiya hai tamir mujh ko malum nahin tarz-e-ibaadat hai kya ai mere lafz ka qad napne wale ye bata tu jo aaya hai muqabil teri auqat hai kya