aalam hai be-KHudi ka mai ki dukan par hain

'alam hai be-khudi ka mai ki dukan par hain
saqi pe hain nigahen hosh aasman par hain

dil apni zid pe qaim wo apni aan par hain
jitni musibaten hain sab meri jaan par hain

duniya badal gai hai wo hain hamin ki ab tak
apne maqam par hain apne makan par hain

ye suraten tumhaari ye naz ye adaen
qurban ai buto hum khaliq ki shan par hain

shukr-e-khuda ki un ke qadmon pe sar hai apna
is waqt kuchh na puchho hum aasman par hain

ab tak samajh rahe hain dil mein mujhe musalman
qaim hunuz ye but apne guman par hain

uslub-e-nazm-e-'akbar' fitrat se hai qarin-tar
alfaz hain mahal par ma'ni makan par hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close