abas is zindagi par ghafilon ka faKHr karna hai

'abas is zindagi par ghafilon ka fakhr karna hai
ye jina koi jina hai ki jis ke sath marna hai

jo mustaqbil ke 'ashiq hain unhen uljhan mubarak ho
hamein to sirf ab guzra zamana yaad karna hai

gul-e-pazhmurda se ghunche ko hamdardi nahin mumkin
abhi to is ko khilna hai abhi is ko sanwarna hai

mera dil mujh se kahta hai mere sine mein ai 'akbar'
ta'ajjub hai ki rahna sahl hai mushkil thaharna hai

khuda jaane wo kya samjhe ki bigde is qadar mujh par
kaha tha main ne itna hi mujhe kuchh ‘arz karna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close