aalam mein agar ishq ka bazar na hota koi kisi bande ka kharidar na hota hasti ki kharabi nazar aati jo adam mein us khwab se hargiz koi bedar na hota kahta hai tujhe khak na dun ghair-e-aziyat ye dil mein agar thi to mera yar na hota malum kise thi ye teri khana-kharabi main jaanta aisa to giraftar na hota aalam ko jalati hai teri garmi-e-majlis marte hum agar saya-e-diwar na hota ai shaikh agar kufr se islam juda hai pas chahiye tasbih mein zunnar na hota zalim mere hasid ki to shadi thi isi mein yani mujhe dar tak bhi tere bar na hota dete teri majlis mein agar rah 'fughan' ko us shakhs se hargiz koi be-zar na hota