aap ka e'tibar karta hun ye khata bar bar karta hun be-talluq sa ek talluq hai jis talluq ko pyar karta hun hum hain aur justuju-e-manzil hai muddaton intizar karta hun karwan zindagi ka guzra hai intizar-e-ghubar karta hun maut na-mo'tabar si lagti hai umr ka e'tibar karta hun baat jab hai ki sharm rah jae tauba yun to hazar karta hun apne par ikhtiyar hai sab ko yaad be-ikhtiyar karta hun laghzishen zindagi ki mat puchho pahron baitha shumar karta hun juz nadamat ke kuchh nahin milta nazren jab khud se chaar karta hun mera apna hi saya hai 'ashraf' jaan jis par nisar karta hun