aalam mein koi dil ka talabgar na paya is jins ka yan hum ne kharidar na paya haq dhundne ka aap ko aata nahin warna aalam hai sabhi yar kahan yar na paya ghairon hi ke hathon mein rahe dast-e-nigarin kab hum ne tere hath se aazar na paya jati hai nazar khas pe gah chashm-paridan yan hum ne par kah bhi be-kar na paya taswir ke manind lage dar hi se guzri majlis mein teri hum ne kabhu bar na paya surakh hai sine mein har ek shakhs ke tujh se kis dal ke tarah tir-e-nigah par na paya marbut hain tujh se bhi yahi na-kas-o-na-ahl us bagh mein hum ne gul be-khar na paya dam baad junun mujh mein na mahsus tha yani jame mein mere yaron ne ek tar na paya aaina bhi hairat se mohabbat ki hue hum par sair ho is shakhs ka didar na paya wo khinch ke shamshir sitam rah gaya jo 'mir' khun-rezi ka yan koi saza-war na paya