nikalna ho dil se dushwar kyun ye ek aah hai is ka paikan nahin ye hath us ke daman talak pahunche kab rasai jise ta-gareban nahin falak ne bhi sikhe hain tere se taur ki apne kiye se pasheman nahin mera nama-e-shauq talwon tale na maliye ye khun-e-shahidan nahin usi ki si kahne lage ahl-e-hashr kahin pursish-e-dad-khwahan nahin