'ali' jis ka fann-e-sukhan mein ek andaz nirala tha naqd-e-sukhan mein zikr ye aaya dohe padhne wala tha jaane kyun logon ki nazren tujh tak pahunchen hum ne to barson baad ghazal ki rau mein ek mazmun nikala tha kya wo ghata tere ghar se utthi kya wo tu ne bheji thi bunden raushan raushan thin aur baadal kala kala tha ajnabiyon se dhoke khana phir bhi samajh mein aata hai is ke liye kya kahte ho wo shakhs to dekha-bhaala tha hum na mile aur jab bhi mile to donon ne iqrar kiya han wo wada aisa tha jo pura hone wala tha tapti dhupon mein bhi aa kar apni yaad dilate hain chand-nagar ke 'insha'-sahib aale jin ka haala tha