aadhi aag aur aadha pani hum donon jalti-bujhti ek kahani hum donon mandir masjid girja-ghar aur guru-dwara lafz kai hain ek maani hum donon rup badal kar nam badal kar aate hain fani ho kar bhi la-fani hum donon gyani dhyani chatur siyani duniya mein jite hain apni nadani hum donon aadha aadha bant ke jite rahte hain raunaq ho ya ho virani hum donon nazar lage na apni jagmag duniya ko karte rahte hain nigarani hum donon khwabon ka ek nagar basa lete hain roz aur ban jate hain sailani hum donon tu sawan ki shokh ghata mein pyasa ban chal karte hain kuchh man-mani hum donon ik-duje ko roz sunate hain 'danish' apni apni ram-kahani hum donon