aaluda-e-isyan khud ki hai dil wo man-e-isyan kya hoga jo apni hifazat kar na saka wo mera nigahban kya hoga zauq-e-dil-e-shahan paida kar taj-e-sar-e-shahan kya hoga jo lut na sake wo saman kar lut jae jo saman kya hoga gham-khana sanam-khana aiwan ya khana-e-viran kya hoga qissa hai dil-e-diwana ka hairan hun ki unwan kya hoga jo sair-e-chaman ko aata hai wo talib-e-gul hi hota hai puchhe koi un na-danon se khar-e-chamanistan kya hoga kuchh shikwa nahin itna sun le ai mast-e-sitam nawak-afgan dil hi na rahega jab mera phir tera ye paikan kya hoga ai hansne hansane wale ja afsurdagi-e-dil badhti hai jis ko ho azal se nisbat-e-gham hansne se wo khandan kya hoga aaj apni 'nazar' se wo dekhen ye silsila-e-tufan aa kar kal kahte the jo hairan ho kar sahil pe bhi tufan kya hoga