hon tum ko mubarak lal-o-gohar hum le ke ye daulat kya karte har shai ko fana hona hai agar to dhan se mohabbat kya karte sad shukr wo the mail-ba-karam marub the roab-e-husn se hum un se ahwal-e-dil-e-pur-gham kahne ki jasarat kya karte hum sahte rahe zulm aur jafa ye soch ke munh se kuchh na kaha talta hai kahin qismat ka likha phir un se shikayat kya karte zahir mein karam par mail hain aada ki safon mein shamil hain apne hi hamare qatil hain ghairon se shikayat kya karte kyun dar se na hota chehra dhul shishe ka hamara jo tha makan jo sang-ba-kaf aae the yahan hum un se baghawat kya karte ye kaam tha bas tum se mumkin majbur rahe 'ajiz' har chhan tum ne to shikayat ki lekin hum tum se shikayat kya karte