aam mauqon pe na aankhon mein ubhaare aansu hijr jis se bhi ho par tujh pe hi ware aansu zabt ka hai jo hunar main ne diya hai tum ko meri aankhon se nikalte hain tumhaare aansu kyon na ab hijr ko main ibtida-e- wasl kahun aankh se main ne qaba jaise utare aansu dusre ishq ki surat nahin dekhi jati dhundhle kar dete hain aankhon ke nazare aansu aankh ki jhil sukhati hai teri shab ki dhup marne lagte hain wahan pyas ke mare aansu bin tere aankhon ko sahra na bana baithun main rote rote na ganwa dun kahin sare aansu mujh farebi ko jo tu ne ye mohabbat di hai aankh se girte hain ab sharm ke mare aansu raat hoti hai to uthti hain ziyaada lahren aur aa jate hain palkon ke kinare aansu