ahl-e-duniya naya naya hun main

ahl-e-duniya naya naya hun main
mazarat khwab dekhta hun main

hai parindon se khamushi darkar
ped se baat kar raha hun main

us ki taswir hai ghadi ke pas
har ghadi waqt dekhta hun main

khud se karta hun mashwara lekin
baat auron ki manta hun main

is qadar tirgi ka qail hun
dhup ko dhup kah raha hun main

waqia hun azal se pahle ka
kun se pahle uthi sada hun main

mujh ko chup-zat samjha jata hai
is qadar tez chikhta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close