aamad tasawwur-e-but-e-bedad-gar ki hai dil ki bhi lut khana-kharabi jigar ki hai taqdir ki kaji ho ki tedha ho aasman ye sab inayat aap ki tirchhi nazar ki hai ek bar tir mar ke ab tak khabar na li yarab nigah-e-mast ye kis be-khabar ki hai ye rang-o-bu kahan gul-e-tar ko nasib tha utri hui qaba kisi rashk-e-qamar ki hai phir bhi kabhi nigah-e-karam hogi is taraf ummid aaj tak usi pahli nazar ki hai