aamada rakkhen chashm-o-dil saman-e-hairani karen kya jaaniye kis waqt wo nazara farmani karen bahr-e-bala hai mauj par qahr-e-qaza hai auj par hain kah-e-saman mustaid ta na-gurezani karen aai hai raat aisi dani hai har charagh afsurdani ai dil baya ai dil baya kuchh shoala-samani karen han han dikhaenge zarur hum wahshat-e-dil ka wafur pahle ye shahr-e-dasht-o-dar takmil-e-virani karen ai aashiqan ai aashiqan aaya hai amar-e-na-gahan jo log hain nazara ju wo mashq-e-hairani karen wo shama hai dar-e-taq-e-dil raushan hain sab aafaq-e-dil uftadgan-e-khak utho aflak gardani karen hai bas-ki tegh us ki rawan kamyab hain na-kustagan sab sarfaroshon se kaho chande farawani karen ek nasihana arz hai dariyaon par ye farz hai dil ki tarah har lahar mein tajdid-e-tughyani karen aise gharon mein ahl-e-dil rahte nahin hain mustaqil tabdil ye diwar-o-dar uslub-e-virani karen