aamokhte ka jal zaban se lipat gaya badli hawa to harf ka pansa palat gaya mujh se nikal ke haibat-e-shab ka tha samna saya wufur-e-khauf se palta chimat gaya sad talkhiyon ki shakh pe baithi thi mauj-e-nim bargad se aa ke jhonka hawa ka palat gaya thi shahr-e-inhisar mein phislan gali gali main ladkhada gaya mera khachchar rapat gaya tarik be-kanar samundar pada raha manzar tamam ghaar ke andar simat gaya