rahti hai saba jaise khushbu ke taaqub mein kuchh yun hi zamana hai urdu ke taaqub mein laute nahin ab tak wo barson hue nikle the pazeb ki chahat mein ghungru ke taaqub mein ek jadu ki dibiya hai jo un ka khilauna hai bachche nahin rahte ab jugnu ke taaqub mein masum si aankhon se ek bund hi tapki thi baadal umad aae hain aansu ke taaqub mein naqqalon ke pichhe kyun phirte ho hunar walo dekha hai kya sagar ko sarju ke taaqub mein afkar ke phulon ki wadi hai hadaf 'arif' har shair-e-urdu hai khushbu ke taaqub mein