aan pahunche hain ye kahan hum log ab zamin hain na aasman hum log kal yaqin bantte the auron mein ab hain khud se bhi bad-guman hum log kin hawaon ki zad mein aae hain ho gae hain dhuan dhuan hum log chup to pahle bhi jhelte the magar is qadar kab the be-zaban hum log kab mayassar koi kinara ho kab sametenge baadban hum log ban gae rakh ab na-jaane kyun the kabhi shoala-e-tapan hum log hum ko jaana tha kis taraf 'razmi'! aur kis samt hain rawan hum log