aana jaana hai to qamat se tum aao jao dar-e-izhaar-e-murawwat se tum aao jao wo tahayyur jo tumhein le ke yahan aaya tha us tahayyur ki wisatat se tum aao jao hum kisi samt bagulon ko nahin rokte hain garmi-e-zuaq shararat se tum aao jao kaf udane pe bhi pabandi nahin hai koi han magar thodi nafasat se tum aao jao hamein ummid-e-balaghat to nahin hai tum se bas zara thodi bulughat se tum aao jao kis ne roka hai sar-e-rah-e-mohabbat tum ko tumhein nafrat hai to nafrat se tum aao jao tum ki tiflan-e-adab sath lagae hue ho kisi manqul shariat se tum aao jao hum ne ashaar ka darwaza khula rakkha hai jab bhi ji chahe sahulat se tum aao jao