kati pahad si shab intizar karte hue hui tamam sahar aah-e-sard bharte hue the us ke hath lahu mein hamare gharq magar zara bhi sharm na aai use mukarte hue hawa chali to pareshan hue shajar auraq magar na the wo hamari tarah bikharte hue kabhi udhar se jo guzren to yaad aata hai ye ki us ko dekhta tha us rah se guzarte hue hamesha soch mein duba hua wo hum ko mila kabhi to dekhte 'farrukh' ko hum ubharte hue