aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil kitni der aur meri jaan kahan tak ai dil had ziyaada se ziyaada ki koi to hogi aur is hirs ka phailaw kahan tak ai dil tajraba tajraba aazad rag-o-pai mein raha kitni afsurdagi hai dahr se jaan tak ai dil mahak ud jaegi tafhim ke lab khulne se sahar iblagh ka hai zabt-e-bayan tak ai dil aks o aaine ki surat hai hamara rishta hun tere sath tu mera hai jahan tak ai dil hairat-asar ajab khwab liye baitha hun shayad aa jae koi meri dukan tak ai dil shor se ahl-e-khabar ke hai 'riyaz' aazurda koi le jae use be-khabran tak ai dil