ghunche ghunche pe gulistan ke nikhaar aa jae jis taraf se wo guzar jaen bahaar aa jae har nafas hashr-ba-daman hai junun-e-gham mein kis tarah ahl-e-mohabbat ko qarar aa jae wo koi jam pila den to na jaane kya ho jin ke dekhe hi se aankhon mein khumar aa jae ghair hi se sahi paiham ye kudurat kyun ho kahin aaina-e-dil par na ghubar aa jae kuchh is andaz se hai husn pashiman-e-jafa koi mayus-e-wafa dekhe to pyar aa jae 'naz' ghar se liye jata hai su-e-dasht mujhe wo junun jis se bayaban ko bhi aar aa jae