aandhi chali jo ret ki sara badal gaya

aandhi chali jo ret ki sara badal gaya
sahra ka ek pal mein nazara badal gaya

phir se udhar na jaane ki takid dil ne ki
par kya karen mizaj dobara badal gaya

thodi si faisle ki mayassar ho mohlaten
samjhen to is se pahle ishaara badal gaya

tha rang dhup ka to barabar khila hua
baadal magar nasib ka mara badal gaya

lab band the to baat thi koi bandhi hui
khulte hi jo bharam tha hamara badal gaya

ab to jahan bhi dekho hai daldal ka samna
jis ka kinara samjhe kinara badal gaya

'parwez' aasman ka manzar to saf tha
daman ghata ne jaise pasara badal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close