dariya mein dur mauj-e-rawani ke par tha

dariya mein dur mauj-e-rawani ke par tha
kuchh tairta hua tha jo pani ke par tha

yun to dikhai deta tha badh kar nuqush se
chhune gae zara to nishani ke par tha

unwan aur kuchh hua aakhir kitab ka
kirdar jaane kis ka kahani ke par tha

kis ne kise sadaen di mazi ki aad mein
jaane ye kaun yaad purani ke par tha

sahil pe jaise hum to samaat mein gharq the
lahje mein is tarah wo zabani ke par tha

'parwez' shukr hai ki wo lafzon mein zam hua
ek harf tha jo tez-rawani ke par tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close