aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua khauf ke mare juda shakh se patta na hua ruh ne pairahan-e-jism badal bhi dala ye alag baat kisi bazm mein charcha na hua raat ko din se milane ki hawas thi hum ko kaam achchha na tha anjam bhi achchha na hua waqt ki dor ko thame rahe mazbuti se aur jab chhuti to afsos bhi is ka na hua khub duniya hai ki suraj se raqabat thi jinhen un ko hasil kisi diwar ka saya na hua