koi us zalim ko samjhata nahin wo sitam karne se baz aata nahin dasht-e-gham mein kab mera naqsh-e-qadam har qadam pe aankh dikhlata nahin dard-e-furqat se zaban danton mein hai kya kahun kuchh bhi kaha jata nahin chashm-e-dil se dekh use tu dekh le chashm-e-zahir se nazar aata nahin sabr-e-shauq-e-wasl-e-jaanan kya karun par laga kar bhi uda jata nahin kab khayal-e-zulf mein har raat ko dil pe mere sanp lahraata nahin gul se nisbat kiya tere rukhsar ko ye to wo gul hai jo kumhlata nahin dard-e-furqat se hai ab honton pe dam phir bhi zalim ko taras aata nahin jaan li hai jalwa-e-rukhsar ne qabr ki zulmat se ghabraata nahin husn ki khuddariyan to dekhiye be-khudi mein bhi wo hath aata nahin wo nahin aate to nadir kya gala hosh jab do do dopahar aata nahin