aane lagi hai zahr ki khushbu shumal se jhalkega rang khun ka asr-e-zawal se hain darj aane wali ruton ke hisab mein patte jhade hue shajar-e-mah-o-mal se khwahish ke karobar ki rasmen badal gain milte hain phul badh ke khud apne maal se gul-dan mein saji hui kaliyon ko kya khabar kya puchhti hai baad-e-saba dal dal se zahir hain pairahan ki sapedi se tin rang khushbu ki aabshaar-e-rawan sabz shaal se pardon ki sarsarahaten bundon ke ral-taral khulta hai dar hawa-e-shab-e-barshgal se tu hi hujum-e-shahr mein pahchan le mujhe main aashna nahin hun tere khadd-o-khal se ab tak harif-e-sang samajhta tha main use ye aaina to tut gaya dekh bhaal se andhon ki anjuman mein jalate ho mishalen irshad kuchh na paoge kasb-e-kamal se