ajnabi thahre chalo tum yun magar kis waste baat mausam ki sahi par mukhtasar kis waste kya tumhaare shahar mein bas ek mujrim hain hamin is qadar ilzam aae apne sar kis waste ab to lahron se shanasai rahegi umr bhar likh gaya wo nam mera ret par kis waste ab khula hai khud se badh kar koi sachchai nahin muddaton khud se rahe hum be-khabar kis waste kya khabar thi unghte zehnon ko jo chaunka gai lag rahi hai bhid si har chauk par kis waste mere pas aaen to 'arshi' chum kar rakh lun unhen khushk patte ud rahe hain dar-ba-dar kis waste