aane wala inqalab aaya nahin kya koi ahl-e-kitab aaya nahin ism-e-azam bhi padha hai bar bar ghaar se lekin jawab aaya nahin ho raha hai kuchh na kuchh zer-e-zamin konplen phutin gulab aaya nahin raat bhar phir hijr ka mausam raha jis ko aana tha wo khwab aaya nahin khushk-lab laute hain kyun sahra-naward raste mein kya sarab aaya nahin mujh ko ek chashmak thi sail-e-ashk se is liye main zer-e-ab aaya nahin