aane wale jaane wale har zamane ke liye aadmi mazdur hai rahen banane ke liye zindagi firdaus-e-gum-gashta ko pa sakti nahin maut hi aati hai ye manzil dikhane ke liye meri peshani pe ek sajda to hai likkha hua ye nahin malum hai kis aastane ke liye un ka wada aur mujhe us par yaqin ai ham-nashin ek bahana hai tadapne tilmilane ke liye jab se pahra zabt ka hai aansuon ki fasl par ho gain muhtaj aankhen dane dane ke liye aakhiri ummid waqt-e-naza un ki did thi maut ko bhi mil gaya fiqara na aane ke liye allah allah dost ko meri tabahi par ye naz su-e-dushman dekhta hai dad pane ke liye neamat-e-gham mera hissa mujh ko de de ai khuda jama rakh meri khushi sare zamane ke liye nuskha-e-hasti mein ibrat ke siwa kya tha 'hafiz' surkhiyan kuchh mil gain apne fasane ke liye