agar mauj hai bich dhaare chala chal wagarna kinare kinare chala chal isi chaal se mere pyare chala chal guzarti hai jaise guzare chala chal tujhe sath dena hai bahrupiyon ka nae se naya rup dhaare chala chal khuda ko na taklif de dubne mein kisi nakhuda ke sahaare chala chal pahunch jaenge qabr mein panw tere pasare chala chal pasare chala chal ye upar ka tabqa khala hi khala hai hawa o hawas ke ghubare chala chal duboya hai tu ne haya ka safina mere dost sina ubhaare chala chal musalsal buton ki tamanna kiye ja musalsal khuda ko pukare chala chal yahan to bahr-e-haal jhukna padega nahin to kisi aur dware chala chal tujhe to abhi der tak khelna hai isi mein to hai jit haare chala chal na de fursat-e-dam-zadan o zamane nae se naya tir mare chala chal shab-e-tar hai ta-ba-subh-e-qayamat muqaddar hai gardish sitare chala chal kahan se chala tha kahan tak chalega chala chal masafat ke mare chala chal basirat nahin hai to sirat bhi kyun ho faqat shakl o surat sanware chala chal 'hafiz' is nae daur mein tujh ko fan ka nasha hai to pyare utare chala chal