aane wale mausamon ko sochti rahti hun main log kahte hain ki sapne dekhti rahti hun main fikr ki dahliz par nanhe khilaune ki tarah jodta rahta hai wo aur tutti rahti hun main ye mohabbat hi to hai us ki jo barson baad bhi wo manata hai mujhe aur ruthti rahti hun main waqt jaise wo musawwir aur main us ka qalam zindagi ke canwas par daudti rahti hun main