be-chehragi-e-umr KHajalat bhi bahut hai

be-chehragi-e-umr khajalat bhi bahut hai
is dasht mein girdab ki surat bhi bahut hai

aankhen jo liye phirta hun ai khwab musalsal
mere liye ye kar-e-aziyyat bhi bahut hai

tum zad-e-safar itna uthaoge kahan tak
asbab mein ek ranj-e-masafat bhi bahut hai

do sans bhi ho jaen baham habs-e-badan mein
ai umr-e-rawan itni karamat bhi bahut hai

kuchh ujrat-e-hasti bhi nahin apne mutabiq
kuchh kar-e-tanaffus mein mashaqqat bhi bahut hai

ab maut mujhe mar ke kya degi 'ghazanfar'
aankhon ko to ye aalam-e-hairat bhi bahut hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close