aane wale sher pe rae bari bari baithegi ab ki jo bhi nazm kahunga zehn pe sari baithegi us ke liye poshak banaunga main apne hathon se rang sapedi beach mein hoga surkh kanari baithegi kam-go hain aur apni aadat apni fikr pe bhaari hai warna jab bhi baat karenge dhak hamari baithegi achchhe yaron ki sohbat mein rahna achchha lagta hai log bure honge jab sare shar bazari baithegi dhire chalna thame rahna fikr-e-subuk-raftari ko raste mein ek mod aaega aur sawari baithegi dil ki zamin par hum ne ek kona bhi khali chhoda hai sham ko wapas aa kar jis mein yaad tumhaari baithegi sher ki duniya se main bahar niklun bhi to kyun niklun nashsha jab utrega mera meri khumari baithegi raat ko jo bhi khwab mein dekha subh wahi tabir kiya agle roz bhi jagna hoga nind bichaari baithegi zist hamari thak jaegi hijr ke lambe raste par aur zara sustane ko bhi ye dukhiyari baithegi mere bachao ki to mere yar hi kuchh tadbir karen aankh se zarb lagi hai dil par zarb to kari baithegi