aangan se hi khushi ke wo lamhe palat gae sahra-e-dil se barse baghair abr chhat gae rishton ka ek hujum tha kahne ko aas-pas jab waqt aa pada to talluq simat gae ek samt tum khade the zamana tha ek samt hum tum se mil gae to zamane se kat gae rasm-o-rah-e-jahan ka to tha daera wasia apni hadon mein aap hi hum log bat gae hamdardiyon ki bhid sahar se thi sath sath jab dhup sar pe aai to sae simat gae bedariyon ke sath tha hangama-e-hayat nind aa gai to sare masail nipat gae is inqalab-e-daur-e-taraqqi ke aafrin majma bada hua hai to insan ghat gae