allah de sake to de aisi zaban mujhe apna samajh ke dil se laga le jahan mujhe sehn-e-chaman se jab bhi utha hai dhuan kabhi yaad aa ke rah gaya hai mera aashiyan mujhe khar-e-nafas ne mujh ko na sone diya kabhi ek umr maut deti rahi loriyan mujhe main ek charagh lakh charaghon mein bat gaya rakkha jo aainon ne kabhi darmiyan mujhe main aane wale qafile ka mir ban gaya chhoda tha sathiyon ne pas-e-karwan mujhe har mauj se ulajhti hui khelti hui sahil pe lai kashti-e-umr-e-rawan mujhe 'simab' dasht-e-zist se main kya karun gila bakhshi hain bastiyon ne bhi viraniyan mujhe