aankh be-khwab hui hai kaisi ye hawa ab ke chali hai kaisi tu meri yaad mein rota to nahin ye hawaon mein nami hai kaisi saya hai aur kashida kitna dhup hai aur kadi hai kaisi kaisa soya hai muqaddar apna aur zamin ghum rahi hai kaisi rasm-e-duniya hai jise jaana hai hum pe uftad padi hai kaisi gung hain zinda-dilan-e-lahore rasm-e-pursish bhi uthi hai kaisi