muddat ke baad soch mein ghaltan hua to kya apne kiye pe aap hi hairan hua to kya ek pas-e-rasm tha jise hum ne nibha diya ab wo kiye pe apne pasheman hua to kya ye sab adaen husn ki hain ishq ke liye kitna hi pur-fusun rukh-e-khuban hua to kya ye husn-e-sang bhi but-e-zeba ke dam se hai nilam hua to kya koi marjaan hua to kya kuchh aur bhi hasin hai khwabon ki dhund mein zahir hua to kya koi pinhan hua to kya hasrat hai shahr-e-yar mein marna nasib ho jagmag hua to kya hua viran hua to kya